Assalam
oalaikum,
Yadi
kala jadu ki chikitsa na karwaai jae to us ka parinaam jo hoga us ko main ek
saral udaahrana se samjhaata hun. Yadi kisi vyakti ko koi gambheer rog ho jae
evan woh bajaae kisi chikitsak ko dikhaane ke aisa hi baitha rahe to aap samajh
sakte hain ke woh rog sheeghra hi itna badh jaega ke woh nirupaaya tak ban
sakta hai. Aap ne aise anek maamle dekhe honge jab koi vyakti taal taal kar
chikitsak ke paas pahunchta hai fir daant suntaa hai kyunki kisi pecheeda
maamle se nipatna kisi doctor ke liye bhi kathin ho sakta hai. To chikitsa ke
abhaava mein rog ke keetanu (bacteria, fungus, virus aadi) ko panapne ka
sunahra avsar milta hai evan woh sheeghra hi poore shareer mein failne lagte
hain. Theek isi prakaar aadhyatmik chikitsa ke abhaav mein jinnat, prĂȘt aadi
jin ko jadugar victim per chhorta hai us ko kisi vipada mein daalne ke liye-
unhe bhi apne kaarya mein koi rukaawat na hone ke kaaran poorna azaadi mil jaati
hai evan woh apne kaarya ko berok kar sakte hain. Is kaaran unhe victim ke
mastishk ko poorna roop se apne vash mein karne ki shakti mil jaati hai. Ek
baar woh victim ko sammohit kar lein us ke pashchaat unka kaarya saralta se
sampanna ho jata hai. Woh us vyakti ko kathputli ke prakaar apne ungliyon per
nachaa sakte hain. Aise bhootgrastha vyakti ke durbhaagya ki koi seema nahin hai
kyunki fir woh vyakti apni ichhaanusaar kuch nahin kar sakta evan apne hita mei
bhi kuch nahi kar sakta. Us victim ka mastishka uske shatru ke bheje hue
jinnat, prĂȘt aadi ke vash mein hota hai evan woh us ke man mein koi bhi vichaar
daal ker usse jo chaahe karwaa sakte hain. Udhaahran svaroop, yadi shatru
chaahega ke victim ka vyaapaar chaupat ho jae to woh us ke man mein is prakaar
ke vichaar daalega, ‘Main is kaarya se oob chukka hun’. Ya jinnat yeh bhi kar
sakte hain ke jaise hi victim kaarya per dhyaan kendrit karega woh us ka dhyaan
bhang kar dega. Ab yadi victim apne vyavasaaye per dhyaan hi kendrit nahin kar
paega to fir woh unnati kaise kar sakega Dheere dheere kar ke us ka vyaapaar chaupat
ho jaega.
To
uparokta tathyon ke aadhaar per hum is nishkarsh per pahunch sakte hain ke
chikitsa ke abhaav mein jahan ek ore jadugar victim ko haani per haani
pahunchaata rahta hai wahin dusri ore victim chikitsa sahi samay per na karwaa
ker svayam apne ooper atyaachaar karta hai.
Jadu
ka sahi samay per chikitsa na karwaane se nimnalikhit prakaar se haani bhi hoti
hai:
· Bhayankar
sapne aate hain jis ke kaaran victim ka saara samay un ke bare mein chinta
karte hue nashta ho jaata hai
·
Jadu ke prĂȘt victim ke man mein daraawne
vichaar daal dete hain taaki un jhute evan bhayankar vichaaron se woh victim ko
bhaybheet kar ke us ke man ko apne vash mein kar lein
·
Vicitm ko sammohit karke fir use apne mutlab
ke kaarya karwaane ke liye jadu ke prĂȘt victim ko saamanya roop se sone nahi
dete hain. Is ke atirikt theek se na so pane ke anya dushprabhaav bhi hote hain
jaise ki maansik santulan ka bigadna, rogi ho jaana athwa shaktiheen ho jaana.
·
Kala jadu ki chikitsa ke abhaav mein victim
ko sar mein atyant peeda hoti hai jis ke kaaran woh apne kisi bhi mahatvapoorna
kaarya per dhyaan kandrit nahin kar paata hai evan us ka har kaarya bigad jaata
hai.
·
Sifli
jadu mein jinnat dwara jadu karwaya jaata hai evan avasar milte hi jinat victim
ke shareer mein ghus jaate hain. Parinaam svaroop, victim ka shareer saamanya
se adhik garam rahne lagta hai jis ke kaaran victim yeh samajhta hai ke us ko
jvara hai. Fir woh chikitsaalya ke chakkar lagaana aarambha kar deta hai. Kabhi
sheetjvara ka to kabhi miyaadi bukhaar ke rakta prikshan hone lagte hain
vyartha mein evan parinaam kuch nahin nikalta hai kyunki vaastavik rog
shaareerik hota hi nahi hai balki aadhyaatmik hota hai.
·
Jadu jab berok badhta chala jata hai to
victim ki aaya mein giraawat aa jati hai. Victim yathaasambhava prayaas kar le
fir bhi us ki sthiti mein sudhaar nahi aata hai. Balki din ba din us ki
avasthaa bigadti rahti hai evan shatru baith ker tamaasha dekhta hai.
·
Jadu ki chikitsa na karaane ka ek lakshana
yeh bhi hai ke din ba din haani pahunchti rahti hai victim ko. Kabhi aarthik
haani hoti hai to kabhi koi durghatana ho jaati hai. Aaya ghatne lagti hai evan
kharch badhane lagta hai yahan tak ke yadi victim ka apna ghar ho laakhon ka to
woh bhi bik jaata hai. Sampatti ke atirikt yadi bank mein raashi jama ho athawa
aabhushan hon to ek ek kar ke sab bik jaate hain. Vyavasaaya ho to woh vinashta
ho sakta hai evan yadi victim ki naukari ho to woh bhi chhut jaati hai.
·
Har kaarya mein baadha aati hai ya fir bante
bante ruk jaata hai. Chaahe woh aarthik kaarya ho chahae, vivah sambadhit ho
bas victim aas lagaye baitha rah jaata hai.
· Yadi
aswastha karne wale jadu ki chikitsa na ki jaae samay per to uska parinaam aap
svayam samajh sakte hain. Victim apne rog ki chikitsa ke liye doctors ke
chakkar kaat ta hai parantu vaastavik samassya, yaani jadu ka koi samaadhaan
nahin ho paata evan rog aushadh lene ke baawajud bhi badhta jaata hai. Yahi
kaaran hain ke jadu tone ki chikitsa sahi samay per sahi chikitsak se karwaa
lene mein hi laabh hai.