Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Tuesday, August 26, 2014

SURAKASHA CHAKRA

Assalam oalaikum,
Hissar athwa suraksha chakra ek kundali khinchne ko kahte hain. Hissar karne ka arth hai apne chaaron ore ek adrishya suraksha chakra banaana. Amalyaat ke shetra ka yeh ek mahatvapoorna evan anivaarya ansh hai jis ke abhaava mei koi bhi amal karna sambhav nahin hota. Yeh ek atoota, aparaajeya kila ki bhaanti hota hai jis ke bheetar baith ker ek amil surakshit roop se amal kar sakta hai.
Jab koi amil amal karta hai kisi jinnat athawa moakkil ki sahaayta praapt karne ke liye to woh koi Quranic praarthana padhta hai. Har Quranic praarthana ke piche aagyakaari moakkil hote hain. Bas jab koi amel koi amal karta hai to woh moakkil athawa jinnat us amal ki sthal per upasthit hote hain. Amal karne wala chahe koi amel ho ya kamil parantu us ki shakti moakkilon athwa jinnaton ke aage kuch nahin hoti hai. Yeh moakkil athwa jinnat amil ke vash mein aane se kataraate hain kyunki woh apni svatantrata nahin khona chaahte hain. Is liye jaise hi amil apna amal aarambha karta hai in jinnaton ko apne vash me karne ke liye to yeh amil ki tapassya ko bhanga karne ka zordaar prayaas karte hain. Parantu amil ka hissar Quranic aayaton se bana hua ek faulaadi suraksha chakra hota hai jis ko shaktishaali jinnat bhi nahi tod sakte hain. Isi suraksha chakra ki shakti se amil ka amal safalatapoorvak ho sakta hai. Jinnat is hissar ke baahar se prayaas karte rahte hain amil ko bhramit karne ke. Us ko atyant bhayankar athwa anya prakaar ke dhyaan bhang karne wale drishya dikhaate rahte hain parantu hissar ki shakti ke kaaran who us ke bheetar pravesh ker amil ko haani nahin pahunchaa paate hain.
Jo bhi amal kare us ko chahiye ke woh jinnat ke dikhaaye hue drishyon ki vaastavikta ko samjhe evan un ke jhaanse mein na aaye. Jab amal poorna ho jaega to fir aisa koi bhi bura drishya aap ko dikhaai nahin dega kyunki woh sab kewal amal karne wale ke man mein jaanboojh  ke dale gaye mati bhrama hote hain jin ka vaastavikata se koi sambandh nahin hota hai.
Dua-e-hisar:
1.      Jab aap amal karne baithein to Surah Al-Hamd, Ayatal Kursi evan 4 Qul ko 3-3 baar sa-swar padhein evan apni ungli per dum kar lein. Fir isi ungli se apne chaaron ore ek chakra banaa lein. Dhyaan rakhein ke aap ke banae gaye is suraksha chakra mein koi antaraal na ho. Chakra avirala hona chahiye kyunki yadi aap ne chakra mein antaraal chhor diya to yeh kisi janjeer ki nirbal kadi siddha hogi jis ko tod kar jinnat saralata se bheetar pravesh kar sakte hain evan amal karne wale ko haani pahunchaa sakte hai. Atah jis bindu se hissar khincha aarambha karien usi per laa ker us ko anta bhi karien.
2.      Haazraat ke amal ke liye Ayatal Kursi evan 4 Qul 

آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ ۚ كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ ۚ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا ۖ غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ
 ke pashachaat nimnalikhit praarthana padh ker apne ooper dum kar lein evan uprokta vidhi se hissar baandh lein:   

3.      ..

4.      Moakkilon ko apne vash mein karne wale amal ke samay shaktishaali suraksha chakra atyaavashyak hota hai. Is se amal karne wala vyakti baahiri sankat se bhi surakshit rahta hai evan rajat se bhi. Amal aarambha karne se poorva nimnalikhit praarthana 3 baar padh ker apni ungali athwa chhuri per dum kar lein evan hissar bana lei. Us ke pashchaat is praarthana ko 3 bar praayah padh ker apne ooper bhi dum kar lein.





Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com





22 comments:

zahra said...

Asalam alaikum Kia ap mjhy ya Pata kr k day saktay hain k hum par jado hy ya nahi .

fahim said...

Assalamalaikum
mein aap say ye janna chatta hun agar mere upar koi jado kiya hai to kiya hum us insaan ka naam jaan sakte hai.please reply me.

zeba said...

Assalamoalaekum...
Mere upar kaala jaadu kiya gaya ha meri jaan lene ke liye aur ye jaadu marghat me baith kar kiya gya ha.
Mei janna chahti hu ke jaadu kisne kiya hai aur kyu kiya hai to isey pata karne ka koi tarika aap bataey.
Badi meharbaani hogi.

Anonymous said...

Dear sir
Meri ammi so k uthii to apni yadasht kho Di unho n ak dm se
Ab wo hm ko pehchnti b nahi thk se ..
Wo kuch kehtti hain jo hm ko smjh b nahi atta hai ..bs roti rehtii hain ..
Mehrbani ker k iska koi hal bateen or yai b k aghr yai jado ki wajha se hai to iska koi tor ker den apki mehrbani ho gi

saba said...

Aoa. Sir mjhy aksr gndy khwab aty hain jin me main ksi sy ya koi mujh sy sex kr raha hota hai.or zyada tr mery mehram bhai ya father hoty hain.
M bht distrb hu or ye khwb aksr aty rhty hain.
Is k elawa meri shadi k liy koi bandish wgera ti ni q k m 25 years sy bhu uper hu koi rishta ghr ni aya proper.or ak aya to bt khtm ho ge.
Plz help me.

rubina said...

Aslam o alikum
Sir mera dedh (1.5) saal ka byta hy peshly kush din se uss ki htyli aur kmar pe cut nmudar ho rhy hain.
Plz aap bta skty hain k ye jadu to nhi hy

Shukarya

Anonymous said...

Sir last 4 months se main ajeeb c kefiyt ka shikar hon ghabrahat bechaini dil ki dhrkan ka taiz hojana or dimagh dhundhla dhundhla sa rehta hai koi kam karny ko dil nahen chahta bht dheela dheela rhta hon kabhi to ghabrahat itni barh jati hai ke abhi kuch hojaye ga mjhy aisa lagta hai jaisy koi chez dimagh pe qabiz hai mujhy kuch karny nhn deti sir plz help me main bht se aalim or bht jaghon pe ja chuka hn koi faida nhn horha

atif said...

salam
internet sa ap ka web mila
me bht sakht mushkil me hon is waqt mere shady ko 7 saal ho ghe han do bache
han mere,meri umer 31 saal han ghur me rozana ka jaghroo sa tung ake mere miyan ne muje aik talak de di han or ya sab mere nundo or sas ne mil ka diwai talak mere miyan ka damagh maaof ho chuka han wo din rat maa behnoo me andhe hue han na apne bacho ki fiqr han biwi ko tau marne pa tule me mere ghru wale din rat azeeyat sa jee rahe han mere miyan muje 2,3 talak b dena chahte han unhoo ne muje kaha han ya
me apne miyan sa talak nahi lena chahty pehli unhoo ne gusse me di thi phir rajoo b ker liya abhi 10 din hue han diye hue ab dobara sa unka damagh 2,3 talak pa aagay han mere madad kare muje kafi logo nr btaya han ka apdono pa kala jadu kiya gaya han jis ki waja sa ya hua werna mera miya muje bht pyar kerta tha ab nahi kerta mere ghur ko bacha lijia mere talak rukwa de agr kuch ker sakte han
shukeriya

faiyyaz said...

assalm walaikum bhai. mera naam faiyyaz . me bhut pareshan hu . ghar me sub ki death ho rahi hai. mere aunty ki son ki death hu hi hai...phir mere ammi ki ..ghar me sabko ek hi bimari ho rahi hai kidney fail ki ....kuch pata nhi chal raha .. kuch wazifa bataye ki ghar ki pareshaniya aur bimariya door ho jaye

Anonymous said...

Sir meri jisse shadi hone wali thi wo aur mai bahot pyar karte hain pr pichle do maheene se wo bat tk nahi karna chahta krta h to unknown no se bs mera hal chal lene k liye mere peer sahab ne bataya h jadu se uska dimag kisi ne meri trf se hata diya plz plz ap meri help kr diye mai meri ammi sb bahot pareshan hn us ladke ka nam shoaib hai plz reply zrur zrur kijiye ga mai india me bareilly se hoon

yasir said...

Asalam Alikum...

umeed hai app khariat se hon g, jannab app ka aik blog main nae daika .janab us m app n bemari ka tor k bari m lika tha. app k bari mehrabani ho g agar app muje wo taweez ka pic send kar d...taqleef k lie mafi chahta hun liken wo page s download nahi ho raha.

aamir said...

Aamir Khan has sent you a link to a blog:

assalam o alaikum sir mera naam aamir hai,sir mai janna chahta hun k jis amal me do shaks k apas me jhagda wala amal h use rud khatam kaise kiya jae.jin pr ye amal kiya hua hai use kaise khatam kiya jae plz sir jald se jald rply kare or iska hal bataen ...

Tanveer said...

Asalamulaikum,


Bhai Saab merah Naam Tanveer hai aur mujhe pet mein dard Etc thora zada hi taklef hai bahut deen se aur wife se b ladai hoti hai kabhi kabhi app please ye batai ye yah kuch wazifa degiye jis se merah problem slove hojaye..


Jazak Allah Khair.

abid said...

اسلام عليكم و رحمۃ اللہ و برکاتہ
میرا نام عبید اللہ خان ہے اور امی کا نام شبنم ناز.
2015 میں میں نے msc complete ki, اور ابھی بس بیکار ہو، اب میرا نا کسی چیز میں دل لگتا ہے، نوکری کے لئے بھی فارم اپلای کیا ہے، لیکن پڑھائی میں بالکل دل نہیں لگتا، اب نماز وغیرہ بھی بوجھل ہو گی ہے. برائے مہربانی رہنمائی فرمائیں. میں جموں و کشمیر انڈیا سے ہوں. جزاک اللہ خیر

asma said...

Aslam o alikum Mai jhelum city se Ho Mera name asma Mehmood hai mujhe ap c apna Kuch masla discuss karna hai Maine aj ap
Ka Kala jado Wala page daikha hai aur mujhe 40 chezain aisi lagi hain jo mere sath hoti hain please jab b read karein mujhe reply karein Mai ap c Kuch discuss karna cahti Ho ShukriA

faiza said...

Asalam o Alikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh
Ap ny jo amal bataya hy .. Main Wo amal kerna chahti hon.. Mery husband kisi aorat k sath involve hain.. Humari talaq tak nobat aa chuki , bachon ki waja say bat ruk jati... wo kisi Surat us aorat ko chhorny per tiyar Nahi.
Mujy us aorat ka Nick name Pata hy bus.. maan ka naam Nahi ata... phr batain k yah amal kesy Ho ga? Aor es amal ko kitny din karon?

nilu said...

As salamalaikum.. Meri pareshani ye hy k mery shohr mjhse baat nhy kr rhy aur na hi baccho se.. Meri saas aur nand log humein alag krna chahty hy kyunki humari shaadi unlogo k pasand se nhy hui pr aaj mery 2 bacchy hy kesy guzara kru....plzz mere madad karein..

Rustam said...

asalam o alaikum,

I am working in dubai . My problem is like that heart teasing and breath fast and fire. And not sleeping well . When i go to bed that time of bed many talk come in my mind. My mind become distrub and not sleep.
Meri parisani ye hai k mujhe raat ko nind nahi aati hai jb hm sone k lye bed pr jte hai to takiya pr sir rakhte hi bahut khiyal sb aa jata hai aur us khiyal se nikal nahi pate hai. Sine me chuban dard aur aag ki tarh jalan hota hai. Please aap meri help kre

Anum said...

Assalam Alaikum Ma Anum hoon ma app se ye pucchna chahti hoon kia app hmain kucch aysa tareeka bta skte ha jiss se hm ye pta lga ske ke hm pe jadoo huwa ha ya nahi? Plz reply mere halat bohut harab ha ma pershan hoon ye sabb tabi hota ha jbb hm pe koi kuch krta ha plzz mujhe koii tareeka btaye

Anonymous said...

Aoa sir m tania .sir meri puri family Apr jadu kraya gya ha bht sal sy lakin pta ab chala ha .... ma ny jb sy illaj krana shuru kia ha ajeeb kafyat . (body May chezain rigna , tango k andr koi cheez pehlna or sukarna., body k upr kery typ chlty ha ,hatho py cut lgna, jism sy ball gaib hojana, or face ki skin k andr chezain rigna or sar k upr jesy makra typ kuch betha ho wo betha or hilta rhta ha., is k elawa private area may b wo chezain chipki rhti ha ....jb he rishta ata ha Kapro py day LG Katy ha ink typ or rishty sy inkar hojta ha .... bht illaj kraya parhae parti hu kuch frq ni sb kuchhh krlia bt koi frq ni

Shikha said...

Sir
Mujhe kafi samay se bahut takleef ho rhi h
Jo bhi kaam karti hu man hi nhi lagta
Or har kaam krne m koi safalta nhi milti
Ajeeb ajeeb se sapne aate h
Sharir m bharipan rehta h
Kahi aane jaane m bhi bahut darr lagta h
Please mujhe bataye ki mujhpe kala jaadu kiya gya h uska kya upay h
Or kaise isse m mukt ho skti hu
M kaafi samay se bahut pareshan hu

idrish said...

Asslam alaikum janab mein idrish bangal se hun...janab meri tabiyat Humesa kharab rahta hai doctor se dikhane par bhi thik nahi hota....roz roz me saap ka aur drawna sapna dekhta hu...aur mujhse Humesa thakaan mehsus hota hai...kabhi kabhi to mera jism bhi phool jata hai...aur meri saan pet me nahi jata rahta hai yesa lagta hai jese daam toot jayega aur siine me bhi dard hota hai...aur kabhi quran padhte hai to ussi vaqt tabiyat kharab ho jati hai thora sa padhker hi band karna padta hai...sar me bhi dard hota hai kabhi kabhi...jism me yesa mehsus hota hai jese sarir me jaan hi nahi hai...janab aapki mehrbaani hogi ager aap iska sahi ilaaz bateyenge to aalaah aapko aur ata farmayega janab iss kaala jadu se hume bacha allah ki rehmat hogi aap par please janab...allah hafiz..

Related Posts